The Hindi Song Lovers Guide to Programming in FORTRAN 90
ISBN ... 12340-007
--------------------------------------------------------------------------
10 The IF GO TO statement
Koi jab tumhara hriday toRde
TaRapta hua jab koi chhoRde
Tab tum mere paas aana priyay
Mera dar khula hai, khula hi rahega
Tumhare lie, koi jab tumhara................................(Mukesh)
20 The DO loop
Sau saal pehle, mujhe tumse pyaar tha
Mujhe tumse pyaar tha
Aaj bhi hai, aur kal bhi rahega
Sadion se tujhse milne, jiya beqarar tha
Jiya beqarar tha
Aaj bhi hai, aur kal bhi rahega..............................(Rafi/Lata)
The IF THEN ELSE statement
(in 2 songs for the novice)
30 IF THEN
Tum agar saath dene ka waada karo
Main yunhi mast naGHme luta-ta rahun
Tum mujhe dekhkar muskurati raho
Main tumhe dekhkar geet gaata rahun
Tum agar saath dene ka..........................................(Kapoor)
40 ELSE
Tu na mili to hum jogi ban jaenge, tu na mili to
Tu na mili to hum jogi ban jaenge, tu na mili to han
Saari umariya ko rogi ban jaenge, tu na mili to
Tu na mili to hum jogi ban jaenge, tu na mili to................(KK)
The IF THEN ELSE statement
(in 1 song for the advanced user)
50 IF THEN
Tum agar mujhko na chaaho to koi baat nahin
ELSE
Magar kisi aur ko chaahogi to mushkil hogi.........................(Mukesh)
60 The CALL statement
Aaaja, aaja, aaaja, aaaaaaja
Tujhko pukare mera pyaar, hoe
Tujhko pukare mera pyaar
Aaja, main to miTa hun tere pyaar me
Tujhko pukare mera pyaar
Tujhko pukare mera pyaar.........................................(Rafi)
70 The WHILE DO Statement
Jab tak rahe tan me jiya
Waada raha O saathia
Hum tumhare lie, tum humare lie
Ho, hum tumhare lie, tum humare lie
Jab tak rahe tan me jiya..........................................(Asha)
The Mukesh fan corollary: For every IMAGINABLE situation, there
exists at least one REAL Mukesh song which can be sung in your
REAL world.
------------------------------------------------
The return statement
aa laut ke aaja mere meet
tujhe mere geet bulaate hain
mera soona padare sangeet
tujhe mere geet bulaate hain...
aa ab laut chale, nain bichhaye,
bahen basaye,
tujhko pukaare, desh tera...
------------------------------------------------
Procedure call
aaja re ab mera dil pukaara
ro ro ke gham bhi haara
badnaam na ho pyar mera, aaja re...
------------------------------------------------
free() /* delete useless memory */
bhooli hui yaadon mujhe itna na sataao
ab chain se rehne do, mere paas na aao...
------------------------------------------------
realloc() /* reallocate pre-used memory! */
aaya hai mujhe phir yaad wo zaalim
gujra zamaanaa bachpan ka
hai re akeyle chhod ke jaana...
------------------------------------------------
Interrupt sub-routine
o jaane wale ho sake to laut ke aana
ye ghaat, tu ye baat kabhi bhool na jana
o jaane wale ho sake to laut ke aana...
-------------------------------------------------
function prototype declaration, as in:
chalna *chhaliya (character hindu, muslim, sikh, isahi)
chhaliya mera naam, chalna mera kaam
hindu, muslim, sikh, isahi sab ko mera salaam...
-------------------------------------------------
exit(), suspend
Ruk jaa o jaane waali ruk jaa
main to raahi tere manzil kaa
nazron mein teri main buraa sahi
aadmi buraa nahin main dil kaa...
-------------------------------------------------
for(;;), the infinite loop
hum tum, yug yug se ye geet milan ke
gaate rahe hain, gaate rahenge
hum tum...
-------------------------------------------------
[remote login:] tumse kuchh kehna hai,
gar tum kuch kehne do
[Permission granted:] aji bole binaa hum jaane,
rahne do ji rahne do
[Connection established] tumse kuchh kehna hai,
gar tum kuch kehne do...
-------------------------------------------------
getchar() /* get character */
ye to kaho, kaun ho tum, kaun ho tum ?
mujhe poochhe bina dil mein aane lage
meethi nazaron se bijli giraane lage
ye to kaho, kaun ho tum, kaun ho tum...
-------------------------------------------------
volatile variable
main raahi bhatakne waala hoon
koi kya jaane matwaalaa hoon...
extern variable
mera joota hai jaapaani
ye patloon inglistaani
sar pe laal topi rusi
phir bhi dil hai hindustaani...
static/local variable
Jeena yahaan, marna yahaan
iske siwa jaana kahan
jee chaahe jab humko aawaaz do
hum hain wahin, hum the jahaan...
complex variable
jaaon kahaan bataa ae dil
duniya badi hai sangdil
chaandni aayi ghar jalaane
soojhe na koi manzil...